Lagtaa Nahin Hai Dil Mera Ujray Dayar – Kalam Bahadar Shah Zafar
Lagtaa nahin hai dil mera ujray dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa_payedaar mein
kah do in hasraton se kahin aur jaa basein
itani jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein
umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din
do arzoo mein kaT gaye do intazaar mein
kitnaa hai bad_naseeb “Zafar” dafn key liye
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein
لگتا نہیں ہے دل میرا اجڑے دیار میں
کس کی بنی ہے عالم نہ پایا دار میں
کہ دو ان حسرتوں سے کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میں
عمر دراز مانگ کے لاے تھے چار دن
دو آرزو میں کٹ گۓ دو انتظار میں
کتنا ہے بدنصیب ظفر دفن کے لیے
دو گز زمین بھی نہ ملی کوے یار میں