Chupke Chupke – Ghazal by Ghulam Ali: Download MP3
Urdu Ghazal
Ghulam Ali is considered a ghazal khawan in the same league as legendary master, Ustad Mehdi Hassan and Jagjit Singh. He keeps a unique pleasant style to ghazal goee, and Chupkay Chupkay is a ghazal that is synonymous with his name.
Audio Player
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics [Ghazal by Hasrat Mohani]
Chupkay Chupkay Raat Din Aansu Bahaana Yaad Hai
Hum Ko Abb Tak Aasqihi Ka Wo Zamaana Yaad Hai
Baa-Hazaran Iztarab O Sad Harazan Ishtiaaq
Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagaana Yaad Hai
Baar Baar Uthna Usi Janaab Nigaah-e-Shauq Ka
Aur Tera Ghurge Se Wo Aankhein Lagana Yaad Hai
Tujh Se Milte Hai Woh BeBaak Ho Jana Mera
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungli Dabaana Yaad Hai
Khech Lena Wo Mere Parde Ka Kona Dafa’tan
Aur Dupatte Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai
Jaan Kar Sota Tuje Wo Qasad Pabosi Mera
Aur Tera Thukra Ke Sar Wo Muskrana Yaad Hai
Tuj Ko Jab Tanha Kabi Pana Tu Azrah-E Lihaz
Hal-E Dil Baton Hi Baton Mein Jitana Yaad Hai
Jab Sawa Mere Tumhara Koi Dewana Na Tha
Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai
Ghair Ki Nazron Se Back Kar Sab Ki Marzi Ke Khilaf
Wo Tera Chori Chupe Raaton Ko Aana Yaad Hai
Aa Gya Gr Wasal Shab Bhi Kahen Zikr Firaq
Wo Tera Ro Ro Ke Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
Dopahar Ki Dhoop Mein Mere Bulaane Ke Liye
Wo Tera Kothay Pe Nangay Paon Aana Yaad Hai
Aaj Tak Nazron Mein Hai Wo Suhbat Raaz-o-Niyaaz
Apna Jaana Yaad Hai, Tera Bulaana Yaad Hai
Methi Methi Cher Kar Batain Niraali Pyar Ki
Zikr Dushman Ka Woh Baaton Mein Uraana Yaad Hai
Dekhna Mujh Ko Jo Bargishta Tu So So Naaz Se
Jab Manaa Leta Tu Phir Khud Roth Jana Yaad Hai
Chori Chori Ham Se Tum Aa Kar Miley They Jiss Jagaah
Mudaten Guzri Par Ab Tak Wo Thikaana Yaad Hai
Shauq Mein Mehndi Ke Wo Be Dast-o-Paa Hona Tera
Aur Mera Wo Chairnaa Wo Gud-Gudana Yaad Hai
Bawajod Adaae Atiqa Hasrat Mujhay
Aaj Tak Ehad Hawas Ka Wo Fisaana Yaad Hai