Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar – Momin Khan Momin Ghazal by Begum Akhtar: Download MP3 Worlds Largest Collection of Ghazals

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar – Ghazal by Momin Khan Momin –  Begum Akhtar: Download MP3

Urdu Ghazal

 

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha is a beautiful Ghazal by Momin Khan Momin, whose poet Mirza Ghalib himself admired greatly. It remains one of the textbook ghazals and also part of the Urdu textbooks in Pakistan as great example of a good ghazal. Begum Akhtar is considered the founder of renaissance of Urdu ghazals and led to genre of ghazals becoming more mainstream e.g. part of movies and television.

 

momin khan momin

 

 

 Download (Right click + save target as, or save link as)

 

 Lyrics [Ghazal by Momin Khan Momin]

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha, Tumhe Yaad Ho Kay Na Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibaah Tha Tumhe Yaad Ho Kay Na Yaad Ho

Woh Jo Lutf Mujh Pe The Paishtar Woh Karam Ke Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zara Zara, Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Naye Gile Who Shiqayatain Woh Mazey Mazey Ki Hiqayaten
Woh Har Ek Baat Pe Roothna Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Kabhi Baithey Sab Main Jo Roobaroo, To Asharton Se Hee Guftagoo
Woh Bayaan Shauq Ka Barmila, Tumhain Yaad Ho Kay Na Yaad Ho

Huay Itafaq Se Gar Barham, To Wafa Jatanay Ko Dam Ba Dam
Gilla Malamaat Aqraba, Tumhain Yaad Ho Ke Yaar Ho

Koi Aisee Baat Agar Hui Ke Tumharay Jee Ko Buree Laggi
To Bayaan Se Pehli Hi Bhoolna, Tumhay Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Kabhie Hum Mein Tum Mein Bhi Chaah Thi Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Se The Aashana Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Sunno Zikr Hai Kai Saal Ka, Ke Kiya Ik Aap Ne Waada Tha
So Nibhanay Ka To ZIkr Ka, Tumhain Yaad Ho Ya Ke Naa Yaad Ho

Kaha Main Ne Baat Woh Kothay Ki Mere Dil Se Saaf Utar Gayi
To Kaha Ke Jaane Meri Balaa, Tumhain Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Woh Bigarna Wasal Ki Raat Ka, Woh Na Manana Kissi Baat Ka
Woh Nahin Nahin Ki Har Aan Adaa, Tumhain Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Jissay Aap Ginate The Aashana, Jissay Aap Kahete Thay Baawafa
Main Wohi Hoon Momin-E-Mubtila Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

وہ جو ہم میں تم میں قرار تھا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو
وہی وعدہ یعنی نباہ کا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ جو لطف مجھ پہ تھے پیش تر، وہ کرم کہ تھا مرے حال پر
مجھے سب ہے یاد ذرا ذرا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ نئے گلے، وہ شکایتیں، وہ مزے مزے کی حکایتیں
وہ ہر ایک بات پہ روٹھنا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی بیٹھے سب میں جو رُوبرُو، تو اشارتوں ہی سے گفتگو
وہ بیان شوق کا برملا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

ہوئے اتفاق سے گر بہم، تو وفا جتانے کو دم بہ دم
گلۂ ملامتِ اقربا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کوئی ایسی بات اگر ہوئی کہ تمہارے جی کو بری لگی
تو بیاں سے پہلے ہی بھولنا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کبھی ہم میں تم میں بھی چاہ تھی، کبھی ہم سے تم سے بھی راہ تھی
کبھی ہم بھی تم بھی تھے آشنا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

سنو ذکر ہے کئی سال کا کہ کیا اِک آپ نے وعدہ تھا
سو نباہنے کا تو ذکر کیا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

کہا میں نے بات وہ کوٹھے کی مِرے دل سے صاف اتر گئی
تَو کہا کہ جانے مِری بلا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

وہ بگڑنا وصل کی رات کا، وہ نہ ماننا کسی بات کا
وہ نہیں نہیں کی ہر آن ادا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو

جسے آپ گنتے تھے آشنا، جسے آپ کہتے تھے با وفا
میں وہی ہوں مومنِؔ مبتلا، تمہیں یاد ہو کہ نہ یاد ہو