Woh Jo Hum Mein Tum Mein – Abida Parveen
Ghazal Momin Khan Momin/Poetry ,ﺍﺭﺩﻭ urdu
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics [All Lyrics of Momin Khan Momin 1800 – 1851 are in Public Domain. Written in Roman by TheSufi.com]
Woh Jo Hum Mein, Tum Mein, Qarar Tha, Tumhay Yaad ho ke Na Yaad Ho
Wohee Yaani Waada Nibah ka, tumhain yaad ho ke Naa yaad ho
Woh jo lutf mujh pe thay peshter, woh karam k tha meray haal per
Mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho k na yaad ho
Woh nayay gilay, woh shikayatein, woh mazay mazay ki hikayatein
Woh har ek baat pe roothna, tumhain yaad ho k na yaad ho
Kahin baithay sab mein jo roobaroo, to isharaton hi mein guftagu
Woh bayan shauq e bermala, tumhain yaad ho k na yaad ho
Hoay ittfaq se ger baham, to wafa jatanay ko dam ba dam
Gilaa-e-malamat-e-aqraba, tumhain yaad ho k na yaad ho
Koi aisee baat ager hoi ke tumhaare jee ko buri lagi
To bayaan se pehlay hi bhoolna, tumhain yaad ho k na yaad ho
Kabhi ham mein tum mein bhi chah thee, kabhi ham se tum se raah thee
kabhi ham bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho k na yaad ho
Suno! zikr hai kayi saal ka, ke kia ek aap ne wada thaa
so nebahnay ka to zikr kia, tumhain yaad ho k na yaad ho
Woh bigarna wasil ki raat ka, woh na manana kisi baat ka
Woh naheen naheen ki her aan adaa, tumhain yaad ho k na yaad ho
Jisey aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay bawafa
mein wohee hoon Momin-e-mubtilaa tumhain yaad ho k na yaad ho