Aah Ko Chahiye Ik Umr Assar Honay Takk – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib
Urdu
Aah Ko Chahiye Ik Umr Assar Honay Takk is a sad urdu ghazal about the lament that arrives from lost love. It is considered one of Jagjit Singh’s best performances ever.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]
Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Honay Tak
Kaun Jita Hai Teri Zulf Ke Sar Honay Tak
Daam Har Mauj Main Hai Halqa Sad-Kaam-E-Nahang
Dekhe Kya Guzre Hai Qatre Pe Gauhar Honay Tak
Aashiqi Sabr Talab Aur Tamanna Betaab
Dil Ka Kya Rang Karon Khoon-E-Jigar Honay Tak
Hum Ne Maana Ke Taghaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Hum Turn Ko Khabar Honay Tak
Partav-E-Khoor Se Hai Shab-Nam Ko Fana Ki Taalim
Main Bhi Hon Ek Inayat Ki Nazar Honay Tak
Yak Nazar Besh Nahi Fursat-E-Hasti Ghafil
Garmi-E-Bazm Hai Ek Raqs-E-Sharar Honay Tak
Gham-E-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg-E-Ilaj
Shama Har Rang Main Jalti Hai Sahar Honay Tak