Bazeecha e Atfaal Hai Duniya Meray Agay – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib
Urdu
Bazeecha E Itaal Hai Dunia mere Agay is one poem of Ghalib which clearly manifests his Sufi influences. Sung beautifully by the majestic voice of Jagjit Singh below, with Urdu poetry.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]
Bazicha-e-Atfaal Hai Duniya Mere Agay
Hota Hai Shabb-o-Roz Tamasha Mere Agay
Ik Khel Hai Aurang-e-Suleman Mere Nazdik
Ik Bat Hai Ejaz-E-Maseeha Mere Agay
Juzz Nam Naheen Surat-e-Alam Mujhe Manzur
Juzz Waham Nahi Hasti-e-Ashiya Mere Agay
Hota Hai Nihan Gard Mein Sahra Mere Hotay
Ghista Hai Jabin Khak Pe Dariya Mere Agay
Mat Pooch Ke Kya Hai Hai Mera Tere Peeche
Tu Dekh Ke Kya Rang Hai Tera Mere Agay
Sach Kahte Ho Khoodbin O-Khudara Hun Na Kyon Hun
Baitha Hai But-E-Aina Simaa Mere Agay
Phir Dekhiye Andaz-E-Gulafshani-e-Guftar
Rakh De Koi Paimana-e-Sahba Mere Agay
Nafrat Ka Guman Guzre Hai Main Rashk Se Guzra
Kyon Kar Kahun Lo Nam Na Us Ka Mere Agay
Iman Mujhe Rokey Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufr
Kaba Mere Peeche Hai Kalisa Mere Agay
Ashiq Hun Pe Mashuqfarebi Hai Mera Kaam
Majoon Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Agay
Khush Hote Hain Par Wasl Mein Yun Mar Nahi Jatey
Ai Shab-E-Hijaran Ki Tamanna Mere Agay
Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khun Kash! Yahi Ho
Ata Hai Abhi Dekhiye Kya-Kya Mere Agay
Go Hath Ko Jumbish Nahi Ankhon Mein To Dam Hai
Rahne Do Abhi Sagar-O-Mina Mere Agay
Hampesha-O-Hammasharab-O-Hamraz Hai
Mera ‘Ghalib’ Ko Bura Kyon Kaho Acha Mere Agay
Also read Bazeecha e Atfaal Hai Duniya Meray Agay in Urdu below: