Bus Ke Dushwaar Hai – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib: Download MP3 Worlds Largest Collection of Qawwali, Arfana & Sufiana Kalam, Hamd & Naat

Bus Ke Dushwaar Hai  –  Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib

Urdu

Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona is another masterpiece ghazal of Mirza Ghalib, which shows why this classic poet is still alive today with his amazing verses that are simple yet profound.

 

 

 Download (Right click + save target as, or save link as)

Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]

Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Aadami Ko Bhi Mayassar Naheen Insaan Hona
Giriyaa Chaahe Hai Kharaabi Merey Kaashaane Ki
Dar-O-Deevaar Se Tapake Hai Bayaaban Hona
Waa-e-Deewaangii-e-Shauq Ke Har Damm Mujh Ko
Aap Jaanaa Udhar Aur Aap Hi Heeran Hona
Jalwaa Az BasKe Taqaaza-E-Nigah Karata Hai
Jauhar-e-Aaeena Bhee Chaahe Hai Mizagaan Hona
Ishrat-E-Qatlgah-e-Ahal-E-Tamannaa Mat Poochh
Eid-E-Nazzaaraa Hai Shamasheer Kaa Uriyaan Hona
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-E-Tamannaa-E-Nishaat
To Ho Aur Aap Ba Sad_Rang-e-Gulistaan Hona
Ishrat-E-Paaraa-e-Dil, Zakhm-e-Tamannaa Khaana
Lazzat-E-Raish-E-Jigar Gharq-E-Namakdaan Hona
Kee Mere Qatl Ke Baad Us Ne Jafaa Se Taubaa
Haaye Us Zod Pashemaan Ka Pashemaan Hona
Haif! Us Chaar Girah Kapare Kii Qismat ‘Ghalib’
Jis Kee Qismat Mein Ho Aashiq Kaa Garebaan Hona

 

Bas Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona-Mirza Ghalib