Dil Hi To Hai Na Koi Sing o Khisht – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib
Urdu
Dil Hi To Hai Na Koi Sing o Khisht is a sad ghazal which reinforced Ghalib’s position as the poet of tragedy.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]
Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aye Kyon
Roenge Ham Hazar Bar Koi Hamein Satayey Kyon
Daer Nahi Haram Nahi Dar Nahi Astaan Nahi
Baithe Hain Rahguzar Pe Ham Ghair Hamein Uthaye Kyon
Jab Wo Jamal-E-Dilfaroz, Surat-E-Mahr-E-Nimaroz
Ap Hi Ho Nazrasoz, Parde Mein Munh Chupaye Kyon
Dashna-E-Gamza Jansitan, Nawak-e-Naz Bepanah
Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samane Tere Aye Kyon
Qaid-E-Hayat-O-Band-E-Gham Asl Mein Donon Ek Hain
Maut Se Pahle Admi Gham Se Najaat Paye Kyon
Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan Rah Gai Bulahawas Ki Sharm
Apne Pe Etimad Hai Gair Ko Azamaye Kyon
Wan Wo Guroor-E-Izz-O-Naz Yan Ye Hijab-E-Pas Wazaa
Rah Mein Ham Milen Kahaan, Bazm Mein Wo Bulaayen Kyon
Han Wo Nahi Khudaparast, Jao Wo Bewafa Sahi
Jisko Ho Deen-O-Dil Aziz, Un Ki Gali Mein Jaye Kyon
“Ghalib”-E-Khasta K Bagair Kaun Se Kaam Band Hain
Roie Zar-Zar Kya, Keejie Haye-Haye Kyun
Urdu text courtesy of www.bestghazals.net.