Kisi Ko De Ke Dil – with Dialogues – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib
Urdu
Kisee Ko De Ke Dil Koi Nawaa-Sanj-E-Fughaan Kyon Ho is a heartfelt sad Urdu Ghazal which shows the pure genius of Mirza Ghalib as one of the literary giants of the world.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]
Kisee Ko De Ke Dil Koi Nawaa-Sanj-E-Fughaan Kyon Ho
Na Ho Jab Dil Hi Seenay Mein To Phir Munh Main Zubaan Kyon Ho
Wafaa Kaisi? Kahan Ka Ishq? Jab Sar Phorna Thahra
To Phir Ae Sangdil Tera Hi Sang-E-Aastaan Kyon Ho?
Yehi Hai Aazmaanaa To Satana Kis Ko Kehte Hain?
Adu Ke Ho Lye Jab Tum To Mera Imtihaan Kyon Ho?
Ye Keh Sakte Ho “Hum Dil Main Nahin Hain?” Par Ye Batlao!
K Jab Dil Mein Tum Hi Tum Ho To Aankhon Se Nihaan Kyon Ho?
Qafas Mein Mujh Se Roodad-E-Chaman Kehte Na Dar Humdum
Giri Hai Jis Pe Kal Bijli Woh Mera Aashiyaan Kyon Ho?
Nikala Chahta Hai Kaam Kya Taa’non Se Tu Ghalib?
Tere Be-Mehar Kehne Se Wo Tujh Par Mehrbaan Kyon Ho?
Urdu Text below courtesy of www.SalamUrdu.com.