Patta Patta Boota Boota – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib
Urdu
Patta Patta Boota Boota Haal Hamara Jaane Re is a poem which is attributed to Mir Taqi Mir, whom Ghalib himself acknowledged as one of the greatest Urdu poets as manifested by below verse:
Rekhta kay tumhi ustaad nahi ho Ghalib
Kehte hain agle zamane me koi Mir bhi tha.
It’s not only you Ghalib, which is the master of Rekhta [Classic Urdu]
People say that there was Mir also in older times
This beautiful poem has been subject to songs in Indian cinema multiples time, Mirza Ghalib being one of those. Download this beautiful Ghazal from Mirza Ghalib’s movie.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics / Poetry [both Roman and Traditional Urdu]
Patta patta, boota boota, haal hamara jaane hae,
Jaane na jaaney gul hi na jaane, baagh to saara jaane hae .
Lagney na de bus ho to iss ke gohar gosh ko baaley tak
Iss ko Falak Chashm Mae o Khor ki Putlee ka taara jaane hae
Aage us mutakabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujood Khuda ko woh maghroor khud-aara jaane hae .
Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunyaa mein,
Ji ke ziaan ko ishq mein uske apna waara jaane hae .
Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shehr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaaney hae .
Kya Hi Sjikar Farebi Par Maghroor Hai Woh Siyaad Bacha
Taair urtay hawa mai saare apne usaari jaane hae
Mehr-o-wafaa-o-lutf-o-inayat, aik se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hae .
Kia Kia fitnay sarr per is ke laata hai mashooq apna
jiss be-dil hai taab o tawaan ko ishq ka maara jaane hai
Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hae .
rakhno se dewar e chaman ke munn ko le hai chuppa yaani
inn sorakhon ke takk rehne ko so ka nazaara jaane re
Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hae .