Yeh Na Thi Hamari Qismat – Jagjit Singh Sings Mirza Ghalib: Download MP3
Urdu
Ye Naa Thi Hamaari Qismat Ke Visaal e Yaar Hota remains of the most popular ghazals of Mirza Ghalib, because of its very simple Urdu verses [yet with deep meaning]. Another reasons for popularity is the exceptional singing of Jagjit and Chitra Singh in Mirza Ghalib which touched millions of poetry lovers across the world. Download this gem in MP3 below.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics in roman and traditional Urdu [with permission & courtesy of www.ravimagazine.com]
Ye Naa Thi Hamaari Qismat Ke Visaal e Yaar Hota
Agar Aur Jeetay Rehtey Yahi Intezar Hota
Tere Waadey Par Jiyee Hum To Ye Jaan Jhooth Jana
Ke Khushi Se Marr Na Jaatey Agar Aitabaar Hota
Teri Nazuki Se Jana Ke Baandha Tha Ahd-e-boda
Kabhi Tu Na Torr Sakta, Agar Istavar Hota
Koi Mere Dil Se Poochey Terey Teer-e-Neemkash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti, Jo Jigar Ke Par Hota
Ye Kahaan Ke Dosti Hai, Ke Baney Hain Dost Naaseh
Koi Chaarasaz Hota, Koi Ghamgusar Hota
Rag-e-Sang Se Tapakata, Woh Lahoo Kay Phir Na Thamata
Jisey Gham Samajh Rahey Ho, Ye Agar Sharar Hota
Ghana Agarche Jaan-gusil Hai, Pe Kahan Bachen Ke Dil Hai
Gham-E-Ishq Garr Na Hota, Gam-E-Rozagar Hota
Kahun Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Gam Buri Balaa Hai
Mujhe Kya Burra Tha Marna Agar Ek Bar Hota
Hooey Marr Ke Hum Jo Rusava, Hooey Kyon Na Gharq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthata, Na Kaheen Mazaar Hota
Usay Kon Dekh Sakta Key Yagana Hai Woh Yakta
Jo Dooi Ke Boo Bhi Hoti To Kaheen Do-char Hota
Ye Masail-e-Tasavvuf, Ye Teraa Bayasn ‘Ghalib’
Tujhe Hum Wali Samajhate, Jo Na Baadae-Khvar Hota