Muzaffar Warsi recites his poem Wohi Khuda Hai – Muzaffar Warsi: Download MP3 Worlds Largest Collection of Qawwali, Arfana & Sufiana Kalam, Hamd & Naat

Muzaffar Warsi recites his poem Wohi Khuda Hai

Naat Kalaam/Poetry  , اردو urdu

Koi to Hai Jo Nizam e Hasti Chala Raha Hai, Wohi Khuda Hai  is probably the most known Hamd written by Muzaffar Warsi himself. Download this exceptional kalam in voice of the legendary poet naat khawan.

 

Muzaffar Warsi Naat

 

 

 Download (Right click + save target as, or save link as)

 

Lyrics

Koi To Hai Jo, Nizaam-E-Hasti Chala Raha Hai, Wohi Khuda Hai
Dikhaayi Bhi Jo Na De, Nazar Bhi Jo Aa Raha Hai, Wohi Khuda Hai

Wohi Hai Mashriq, Wohi Hai Maghrib, Safar Karein Sab Ussi Ki Jaaanib
Har Aienay Main Jo Aks Apna Dikaa Raha Hai

Talash Uss Ko, Na Kar Buttoun Mein, Woh Hai Badalti Hoi Ruttoun Mein
Jo Din Ko Raat Aur Raat Ko Din, Banna Raha Hai, Wohi Khuda Hai

Nazar Bhi Rakhe, Samaatein Bhi, Woh Jaan Leta Hai Neeyatein Bhi
Jo Khana-E-Lashaoor Mein Jag-Maga Raha Hai, Wohi Khuda Hai

Kissi Ko Sochon Ne Kab Saraaha, Woh Hua Jo Khuda Ne Chaahaa
Jo Ikhtiaare-E-Bashar Pe Pehray Batha Raha Hai, Woho Khuda Hai

Kissi Ko Taj-E-Waqaar Baksh, Kissi Ko Zillat Ke Ghaar Bakshay
Jo Sab Ke Maathay Pe Muhar-E-Qadarrat Lagga Raha Hai, Woho Khuda Hai

Safaid Us Ka Siyaah Uska, Nafs Hai Gawaah Uska
Jo Shola Jaan Jilla Raha Hai, Bujha Raha Hai, Wohi Khuda Hai

 

 

کوئی تو ہے جو نظامِ ہستی چلا رہا ہے ، وہی خدا ہے

دکھائی بھی جو نہ دے نظر بھی جو آرہا ہے وہی خدا ہے

وہی ہے مشرق وہی ہے مغرب سفر کریں سب اُسی کی جانب
ہر آئینے میں جو عکس اپنا دکھا رہا ہے, وہی خدا ہے

تلاش اُس کو نہ کر بتوں میں وہ ہے بدلتی ہوئی رُتوں میں
جو دن کو رات اور رات کو دن بنا رہا ہے ، وہی خدا ہے

نظر بھی رکھے سماعتیں بھی وہ جان لیتا ہے نیتیں بھی
جو خانۂ لاشعور میں جگمگا رہا ہے , وہی خدا ہے

کسی کو سوچوں نے کب سراہا وہی ہوا جو خدا نے چاہا
جو اختیارِ بشر پہ پہرے بٹھا رہا ہے , وہی خدا ہے

کسی کو تاجِ وقار بخش, کسی کو ذلت کے غار بخشے
جو سب کے ماتھے پہ مہرِ قدرت لگا رہا ہے ، وہی خدا ہے

سفید اُس کا سیاہ اُس کا  , نفس ہے گواہ اُس کا
جو شعلہء جاں جلا رہا ہے, بجھا رہا ہے ، وہی خدا ہے