Har Lehza hai Momin ki Nai Shaan [Kalam-e-Iqbal] – Noor Jehan: Download MP3 Worlds Largest Collection of Qawwali, Arfana & Sufiana Kalam, Hamd & Naat

Har Lehza hai Momin ki Nai Shaan [Kalam-e-Iqbal] – Noor Jehan

Punjabi/Urdu ﭙﻨﺠﺎﺑﻰ

Har Lehza hai Momin ki Nai Shaan is a beautiful poem by Allama Iqbal, which was immortalised by voice of Noor Jehan.

 

Noor Jehan

 

 

 Download (Right click + save target as, or save link as)

 

 

Lyrics

Har Lahza hai momin ki nayi shaan, nayi aan
Guftaar main kirdaar main Allah ki Burhaan

Qahari-o-Ghuffari-O-Qadoosi-O-Jabroot
Ye Chaar Inaasir Hon To Banta Hai Musalman

Hamsaaya-e-Jibreel-e-Ameen, Banda-e-Khaaki
Hai Iss Ka Nashaiman Na Bokhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kissi Koi Nahi Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quran

Qudrat Ke Maqasir Ka Iyyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Toofaan

Fitrat Ka Sarod-e Azli Is Ke Shab-o-Roz
Aahang Mein Yakta Sifaat Surat-e-Rehman

Bante Hain Meri Kargah-e-Fikar Mein Anjam
Le Apnay Muqadar Ke Sitare Ko Tu Pehchaan

ہر لحظہ ہے مومن کی نئی شان، نئی آن​
گفتار میں، کردار میں، ﷲ کی برہان!​

قہاری و غفاری و قدوسی و جبروت​
یہ چار عناصر ہوں تو بنتا ہے مسلمان​

ہمسایہء جبریلِ امیں، بندہء خاکی​
ہے اس کا نشیمن نہ بخارا نہ بدخشان​

یہ راز کسی کو نہیں معلوم کہ مومن​
قاری نظر آتا ہے، حقیقت میں ہے قرآن!​

قدرت کے مقاصد کا عیار اس کے ارادے​
دنیا میں بھی میزان، قیامت میں بھی میزان​

جس سے جگرِ لالہ میں ٹھنڈک ہو، وہ شبنم​
دریاؤں کے دل جس سے دہل جائیں، وہ طوفان​

فطرت کا سرودِ ازلی اس کے شب و روز​
آہنگ میں یکتا، صفتِ سورہء رحمٰن​

بنتے ہیں مری کارگہِ فکر میں انجم​
لے اپنے مقدّر کے ستارے کو تو پہچان!​

English Translation

Every moment, Momin has a new grace, a new splendour
In his speech and character, he is manifestation of Allah.

Punisher, Forgiver, Revered, Dominant
These are the [divine] traits that makes a true Momin

He is the neighbour of Jibreel [in his qualities]
He is a nomad, who is beyond the grand cities of Bokhara and Badakhshan