Is Karam Ka Karon Shukar Kaise Adaa – Nusrat Fateh Ali Khan
Kalaam/Poetry ,ﺍﺭﺩﻭ urdu
Is Karam Ka Karon Shukar Kaise Adaa is a beautiful Naat, narrating the narration of Ashiq-e-Rasool’s gratitude to Prophet SAW, comprising several beautiful Naatiya Verses.
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics
Be-bandagi Urooj Kiya, Banda Kardiya
Tara Meray Naseeb Ka Tabinda Kardiya
Itni Baree Hazoor Ki Banda Nawaziaan
Mujh Ko Mere Sawal Main Sharminda Kar diya
Is Karam Ka Karon Shukar Kaise Adaa?
Jo Karam Mujh Pe Nabi SAW Ne Kiya
Kaisa Jaata Tha Sarkar Ki Mehfilian
Mujh Ko Har Gham Se Rab Ne Baree Kar Diya
Gham e Ashiqi Se Pehle Mujhe Kon Jantaa Tha?
Tere Zaat [SAW] Ne Bana Di Mere Zindagi Fasaana
Muhabbat Mustafa [SAW] Se Pehle Main Kuch Nahin Tha
Karam Ki Intihna Se Pehle Main Kuch Nahin Tha
Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko, Utnee Mere Okaat Nahin
Yeh Sab Tumhara Karam, Warna Mujh Mein Koi Baat Nahin