Jaana Jaan Dil Dukhana – Ghazal by Nusrat Fateh Ali Khan: Download MP3 Download Largest Collection of Ghazals MP3 Songs

Jaana Jaan Dil Dukhana – Ghazal by Nusrat Fateh Ali Khan

Kalaam/Poetry

 

 

 Download (Right click + save target as, or save link as)

 

Lyrics

Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi
Yeh Mulaakaat Phir Nahi Hogi
Aise Baadal Toh Phir Bhi Aayenge
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi

Raat Unko Bhi Yoon Hua Mehsoos
Jaise Yeh Raat Phir Nahi Hogi
Ik Nazar Murr Ke Dekhne Waale
Kya Yeh Khairaat Phir Nahi Hogi

Shab-E-Gham Ki Sahar Nahi Hoti
Ho Bhi Toh Mere Ghar Nahi Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Ja
Shab-E-Gham Mukhtasar Nahi Hoti

Maine Masoom Bahaaron Mein Tumko Dekha Hai
Maine Purnoor Sitaron Mein Tumhein Dekha Hai
Mere Mehboob Teri Pardanasheeni Ki Kasam
Maine Ashqon Ki Qataaron Mein Tumhein Dekha Hai

Ham Buton Se Jo Pyar Karte Hain
Naql E Parwardigar Karte Hain
Itni Kasamein Na Khao Ghabraakar
Jaao Ham Aitbaar Karte Hain

Ab Bhi Aa Jaao Kuch Nahi Bigda
Ab Bhi Ham Intezaar Karte Hain
Saaz E Hasti Baja Raha Hoon Main
Jashn-E-Masti Mana Raha Hoon Main

Kya Ada Hai Nisaar Hone Ki
Unse Pehlu Bacha Raha Hoon Main
Kitni Pukhta Hai Meri Nadaani
Tujhko Tujhse Chupa Raha Hoon Main

Dil Dubota Hoon Chashme Saaki Mein
Mai Ko Main Mein Mila Raha Hoon Main
Na Ham Samjhe Na Tum Aaye Kahin Se
Paseena Poonchiye Apni Jabeen Se

Hai Kahan Ka Iraada Tumhaara Sanam
Kiske Dil Ko Adaon Se Behlaaoge
Sach Bataao Ke Is Chaandni Raat Mein
Kis Se Waada Kiya Hai Kahan Jaaoge

Dekho Achcha Nahin Hai Tumhara Chalan
Yeh Jawaani Ke Din Aur Yeh Shokhiyaan
Yun Na Aaya Karo Baal Khole Hue
Warna Duniya Mein Badnaam Ho Jaaoge

Aaj Jaao Na Bechain Karke Mujhe
Jaane Jaan Dil Dukhaana Buri Baat Hai
Zulf Rukh Se Hata Ke Baat Karo
Raat Ko Din Bana Ke Baat Karo

Maikade Ke Chirag Madham Hain
Zara Ankhein Utha Ke Baat Karo
Phool Kuch Chaahiyein Huzoor Hamein
Tum Zara Muskura Ke Baat Karo

Yeh Bhi Andaz E Guftagu Hai Koi
Jab Karo Dil Dukha Ke Baat Karo
Ham Tadapte Rahenge Yahan Raat Bhar
Tum To Aaraam Ki Neend So Jaaoge

Pass Aao To Tumko Lagayein Gale
Muskurate Ho Kyun Door Se Dekh Kar
Yun Hi Guzre Agar Yeh Jawaani Ke Din
Ham Bhi Pachchtayenge Tum Bhi Pachchtaaoge

Bewafa Bemurrawat Hai Unki Nazar
Yeh Badal Jayenge Zindagi Loot Kar
Husn Waalon Se Dil Ko Lagaaya Agar
Aye Fana Dekho Bemaut Marr Jaaoge