Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad S.A.W. – Sabri Brothers
Urdu
Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad remains one of the most evergreen qawwali ever. Originally performed by the legendary Sabri Brothers duo, it has also been performed by younger Sabris, Adnan Sami Khan and many others. Listen to the original and best version below.
Audio Player
Download (Right click + save target as, or save link as)
Lyrics
Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad
Laut Kar Na Jaon Ga Khaali
Kuch Nawaason Ka Sadqa Ataa Ho
Dar Pe Aaya Hoon Ban Kar Sawaali
Tumharay Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata
Koi Bhi Darr Se Khaali Mangne Waala Nahin Jaata
Tum Zamane Ke Mukhtar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Maddadgaar Ho Ya Nabi
Sub Ki Suntey Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebon Ke Gham-khaar Ho Ya Nabi
Hum Hein Ranj-o-Museebat Ke Marey Huay
Sakht Muskhil Say Hain Gham Say Haray Huay
Ya Nabi Kuch Khudaya Hamein Bheek Do
Dar Pay Aaye Hein Jholi Phailayay Huay
Hein Mukhalif Zamaana Kidhar Jayay Hum
Halat-e-Bekasi Kis Ko Dikhlayay Hum
Hum Tumhare Bhikaari Hain Ya Mustafa
Kiss K Aagay Bhala Haath Phailayain
Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad
Laut Kar Na Jaon Ga Khaali