Tu Kuja Mann Kuja – Beautiful Qawwali of Nusrat Fateh Ali Khan

The green dome, Madina Munawara

The green dome, Madina Munawara

 

 

Tu Kuja Mann Kuja is a beautiful naatiya kalam penned by late Muzaffar Warsi, whose evergreen Naats are admired and sung for many generations. Tu Kuja Mann Kuja is one his most beautiful Naats, also immortalized via a beautiful composition by Ustad Nusrat Fateh Ali.

Below are the lyrics for this beautiful kalam.

 

Tu Kuja Mann Kuja

Tu Ameer-e-Haram
Main Fakeer-e-Ajam
Tere Gunn Aur Yeh Labb
Main Talab Hee Talab
Tu Ataa, Mein Khataa
Tu Kuja Mann Kuja

Ilhaam Hai Jaama Tera
Quran Imama Hai Tera
Minbar Tera Arsh-e- Bareen
Ya Rehmatulil Alameen [SAW]

Tu Haqeeqat Main Sirf Ehsaas Hoon
Tu Samanadar Main Bhatki Hui Piyaas Hoon
Khushboo Teri Joo-e-Karam
Ankhein Teri Baab-e-Haram
Noor-e-Azal Teri Jabeen
Ya Rehmat Lil Alameen [SAW]

Mera Har Saans Khoon Nachoray Mera
Teri Rehmat Magar Dil Na Toray Mera
Kaasa e Zaat Hoon, Teri Khairaat Hoon
Too Sakhee, Main Gadaa
Tu Kuja Mann Kuja

Khair-u-Albashar Rutba Tera
Awaz-e-Haq Khutba Tera
Afaaq Teray Samaeen
Saaes Gibreel Ameen

Mera Ghar Khak Par
Aur Teri Raahguzar…Sidrat ul Muntiha

Nisbat Teri Emaan Hai
Khusboo Teri Irfaan Hai
Tafseer Teray Khulq Ki
Quran Hai Quran Hai

Too Hasil Dunya o Deen
Ya Rehmat lil Alameen

Tu Kuja Mann Kuja
Tu Hai Ahram-e-Anwaar Bandhe Huay

Main Daroodon Ki Distrar Ki Bandhay Huay
Kaaba-e-Ishq Tu, Main Tere Chaar Soo

Tu Aasar, Main Dua
Tu Kuja Mann Kuja

 



You may also like...